Kya aap apne blog post ki image ko delete karna chahte hai. Image ko delete karne ke do tarike hai.
1. jisme aap post se image ko delete karte hai.
2. jisme aap blogger se image ko permanent delete karte hai.
To aaj hum is article mein janege ki blog post par upload image ko delete kaise kare. or us image ko Blogger se permanent delete kaise kare. to chaliye suru karte hai.
Blog post ki image ko delete kaise kare
- Sabse pehle us post ko select kare jis post ki image ko delet karna chahte hai.
- Ab image par click kare or keyboard se delete kare.
Yeh to ho gaya pehla tarika jisme aapne jana ki image ko post se delete kaise hai. ab hum dusre tarike se us image ko blogger ya google album se delete kaise karte hai iske baare mein janenge.
Blog Post Ki Image Ko Permanent Delete Kaise Kare
Sabse pehle upload image par click kare (insert image)
Ab blogger par click kare
Ab aapki image dekhai degi jisko aapne delete kiya hoga uske uppar Google Album Archive. Likha hoga uspar click kare.
Ab aap Photos from Blogger par click kare.
Ab us image ko select kare jise aap delete karna chahte hai.
Ab us image par ek baar or click kare
Ab image ke uppar side mein do icon milenge jisme ek details or dusra more options ka hoga aapko more options par click karna hai.
Ab delete photo par click karna hai. Fir Delete this photo ka message aayga jisme vo aapko batayega ki kya aap is photo ko permanent delete karna chahte hai. Or aap ko delete par click karke photo ko permanent delete kar dena hai.
Delete karne ke baad bhi aapko vo image dekhai degi ab apko page ko refresh karna hai or vo waha se remove ho jayegi
Is tarah aap apne blog ke image ko permanent delete kar
sakte hai.
Post a Comment
Post a Comment
Please Do Not Enter Any Spam Link In the Comment Box